सूरज

सूरज

Wednesday, November 14, 2007

College Ke Din...a Hindi Poem by me After joining job

college k hum unmukta panchi,
Salary k vaado me, tax ki uljhano me kho gaye,
Office k ho gaye.

Ab na vo lawn hai, na woh aasmaan hai,
na vo befikri hai, na bunking ka gumaan hai.
vo kya samaa tha, apni hi mauj me raha karte the,
Duniya pe nazar nahi thi, Apni hi Shaan me jiya karte the.
Khush the hum hokar hi Anaadi.
Badhaa sakte the hum apni Daadhi.

College ko kabhi Saraaha nahi humne,
vaha ki Aazadi aur swachandataa ko, Sawara nahi Humne.
Par na jaane vo ab kyun itna yaad aata hai,
rah rah kar us or hi, kyun man jaata hai?


Naya Shahar hai, Naye log!!
Nayi ye Bhasha hai, Apno ka Viyog!!!
Ye kaha aa gaye hum, Lagta ye naya hi jahaan hai.

Sach to ye hai, ki Jimmedaariya hain ab badhi,
Apne kandho ko mazboot banana hai.
Uoonchi udaan hai bharni hame,
Aage hi aage badhte jaana hai.
kuch kar dikhana hai.

No comments: